Sitaron Se Ulajhta Ja Raha Hun
Shab-e-Furqat Boht Ghabra Raha Hun
Tere Gham Ko Bhi Kuch Behla Raha Hun
jahan ko bhi samjhta ja Raha hoon
Yaqeen ye Hai Haqeqat Khul Rahi Hai
Gum'an Ye Hai K Dhoke Kha Raha Hun
Agar Mumkin Ho Ly Le Apni Aahat
Khabar Do Husn Ko main Aa Raha Hun
Hadain Husn-O Mohabat Ki Mila Kar
Qyamat Par Qyamat Dha Raha Hun
Khabar Hai Tujh Ko Aey Zabt-E Mohabat
Tere Hathon Mein Lut-ta Ja Raha Hun
Asar Bhi Le Raha Hun Teri Chup Ka
Tujhe Qayal Bhi Karta Ja Raha Hun
Bharam Tere Sitam Ka Khul Chuka Hai
Main Tujh Se Aj Ku Sharma Raha Hun
Inhe Mein Raaz Hain Gulbarion K
Main Jo Chingariya Barsa Raha Hon
Jo un Masoom Aankhon Ne Diye Thay
Wo Dhokay Aj Tak Kha Raha Hun
Tere Pehlu Main Ku Hota Hai Mehsoos
Kay Tujh Se Door Hota Ja Raha Hun
Had Jor-o-Karam Se Barh Chala Husn
Nigha-e-Yaar Ko Yaad Aa Raha Hun
Jo Uljhi Thi Kbhi Adam K Hathon
Wo Guthi Aj Tak Suljha Raha Hun
Mohabat Ab Mohabat Ho Chali Hai
Tujhe Kuch Bhoolta Ja Raha Hun
Ajal Bhi Jin Ko Sun Kar Jhoomti Hai
Wo Naghme Zindagi Ke Ga Raha Hun
Ye Sunata Hai Mere Paon Ki Chap
Fiřaq Apni Kuch Ahat Pa Raha Hun
No comments:
Post a Comment