Tuesday 9 August 2016

ab ke tajdeed-e-wafa ka nhii imkaa'n jana'n, urdu poetry



Ab ke tajdeed-e-wafa ka nhii imkaa'n jana'n
Yaad kya tujh ko dilayei'n tera paima'n jana'n

Yunhi mausam ki Adaa dekh ke yaad Aaya
Kis qadar jald badal jate hayn insaa'n jana'n

Dil Yeh kehta hai Kay shayad ho farsuda tu bhi
Dil ki kya baat kareyn, dil tou hai nadan jana'n

Hosh Aaya tou sabhi khwab the reza reza
Jaise udte hue auraq-e-pareshan jana'n



Tuesday 2 August 2016

Monday 1 August 2016

Gee bhar gaya hai es dunya se ab dil ki




جی بھر گیا ہے اس دنیا سے اب دل کی یہ خواہش ہے
 تو ھو ! تیرا جلوٰہ ھو __ اور عالم تنہاہی ھو




Apna tawaan leke chorray ga




Apna tawaan leke chorray ga,
Ishq hai jaan le ke chorray ga..



Phir na kijey meri gustaakh nigaahi ka gila




Phir na kijey meri gustaakh nigaahi ka gila,
Dekhiye aap ne phir pyaar se dekha mujhe




Friday 29 July 2016

mujhe wo lakh tarpaye magar os shakhs




Mujhe wo laakh tarpaye magar
 os shakhs ki khatir
Mere dil kay andheron mein
Dua'en raqs karti hayn




Un k aane mein kabhi dayr jo hoti ho gee?

Un k aane mein kabhi dayr jo hoti ho gee?
Un k mamool k raste bhi tarapte hon gay!!!

Sunday 17 July 2016

Laz-zatay Intizar leta Hoon




Laz-zatay Intizar Leta Hoon
Youn Shab-e-Ghum Guzar Leta hoon

Jab Bhi Dasti Hai mujh Ko Tanhai
Naam Tera Pukar Leta Hoon



Thursday 14 July 2016

Monday 11 July 2016

Sulagti talkh baton se




Sulagti talkh baton se...
Baday be-dard hathon se ...

Lo dekho haar Di Tum ne ...
Mohabbat maar Di Tum ne!!!



Jab'r Hota nhii moha'bat mein




Jab'r Hota nhii moha'bat mein
Jab munasib ho, mere ho jana



Be-simt safar k marhalon mein



Be-simt safar k marhalon mein
Be-ant dukhon ka samna tha..



Sitaron se bhara ye Aasman kesa lagay ga?




Sitaron se bhara ye Aasman kesa lagay ga?
Hamare baad tum ko ye Jahan kesa lagay ga?



Dil ko nhiin sukoon meri jaan tere baghair




Dil ko nhiin sukoon meri jaan tere baghair
Aa ja parei-shan hai zindagi tere baghair



Saturday 9 July 2016

talooh e subh tere rukh ki baat hone lagi




talooh e subh tere rukh ki baat hone lagi
tumhari zulf jo bikhri to raat hone lagi



Sunday 3 July 2016

kisi tarang kisi sar-khushi mein rehta tha




Kisi tarang kisi sar-khushi mein rehta tha
Ye kal ki baat hai dil zindagi mein rehta tha

Bas ik shaam badi khamoshi se toot gaya
Hameyn jo maan teri dosti mein rehta tha



jab tera hukm mila, tark-e-mohabbat kar di




Jab tera hukam mila, tark-e-muhabat kar di
Dil magar es pe wo dharka k qayamat kar di

Tujh se kis tarha mein izhar-e-tamana karta
Lafz soojha to maani ne baghawat kar di

Mein to samjha tha k loat atay hain jaane wale
Tu ne to ja k judai meri qismat kar di

Mujh ko dushman k iradon pe bhi pyar ata hai
Teri ulfat ne muhabat meri adat kar di



Hum unki aas par, umrein guzar dete hayn



Hum unki aas par, umrein guzar dete hayn
Wo moajze jo kabhi ro-numa nhii hote



phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye




phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
phir patton ki pazaib baji tum yaad aaye

phir kaga bola ghar ke soonay aangan mein
phir amrat ras ki boond pari tum yaad aaye




Thursday 25 February 2016

us kay nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nhi



Us k nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi

Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain
Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi

Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh
Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi

Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane
Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi


Thursday 11 February 2016

Tum bhi saada ho kabhi chaal badalte hi nahin,




Tum bhi saada ho kabhi chaal badalte hi nahin,
Hum bhi saada hain ussi chaal main aa jate hain..




Apne honto’n ko see liya jaye




Apne honto’n ko see liya jaye
Gee mein aaya hai, gee liya jaye




Friday 5 February 2016

Wednesday 3 February 2016

tu is qadar mujhe apane qareeb lagataa hai



tu is qadar mujhe apane qareeb lagta hai
tujhe alag se jo sochooN ajeeb lagta hai

jise na husn se matalab na ishq se sarokaar
wo shaKhs mujh ko bahut bad_naseeb lagta hai

hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara
na koi Ghair na koi raqeeb lagta hai

ye dostii ye marasim ye chaahateN ye Khuloos
kabhii kabhii mujhe sab kuchh ajeeb lagta hai




Unglian pher mere balon mein, ye mera dar-e-sar nahi jata, urdu poetry




انگلیاں پھیر میرے بالوں میں
یہ میرا درد_سر نہیں جاتا


Ungliyan pher mere balon mein
Ye mera dard-e-sar nhi jata

Yun para hoon teri banho mein
Jese koi mar nahi jata



wo bulain to kya tamasha ho




Wo bulain to kya tamasha ho,
Hum na jayen to kya tamasha ho ,

Ye kinaron se khailnay walay
Doob jayen to kya tamasha ho,

Banda-parwar! Jo hum pe guzri hay,
Ham batayen to kya tamasha ho ,

Aaj hum bhi teri wafaon par,
Muskurayen to kya tamasha ho ,

Teri surat jo Ittefaq say hum,
Bhool jayen to kya tamasha ho,

Waqt ki chund sa'atein 'Saghir'
Laut ayen to kya tamasha ho...!!!!




Dhoondne wale tujhe apna pata kya doon main




Dhoondne wale tujhe apna pata kya doon main
Yahan tou jism talak aarzi thikane hayn....!



Monday 25 January 2016

ﺳﻨﻮ ﻣﺠﮭ ﺳﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ ﺩﻟﯿﻠﯿﮟ ﺩﻭﮞ ﻣﺜﺎﻟﯿﮟ ﺩﻭﮞ




ﺳﻨﻮ ﻣﺠﮭ  ﺳﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ ﺩﻟﯿﻠﯿﮟ ﺩﻭﮞ ﻣﺜﺎﻟﯿﮟ ﺩﻭﮞ
ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻟﮑﻬﺎ ﮨﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮨﮯ .۔۔



جسم کے جزیرے میں، یہ جو دِل کی وادی



جسم کے جزیرے میں، یہ جو دِل کی وادی ھے
اِس پہ راج ھے جس کا، تو وہ شہزادی ھے




Main Raaz-e-Kainaat hoon, mujhe bar-mala na faash kar



Main Raaz-e-Kainaat hoon, 
mujhe bar-mala na faash kar

Meri ibtida ko chorr de, 
Meri intiha ko Talash kar

By Pakeeza Rizvi



mera wajood, Meri maa tere wajood se hai



Mera wajood, Meri maa tere wajood se hai
Main Jo bhi hoon, mera rutba tere sujood se hai

Door rehti hayn zamane ki bala'eyn mujh se
Hai khabar inko ko guzara dam o darood se hai

By Pakeeza Rizvi


Saturday 16 January 2016

Tuesday 12 January 2016

Pehle teri thi justaju dil ko..




Pehle teri thi justaju dil ko.....
Ab main Apni Talash mein gumm hoon



Dil se poocha ye Aashqi kya hai




Dil se poocha ye Aashqi kya hai
Hans kay bola, azaab hai sahib




Tumhari be-rukhi par bhi luta di zindagi Humne




Tumhari be-rukhi par bhi luta di zindagi Humne
Agar tum mehrban hote, tou apna haal kya hota