Wednesday, 10 July 2019

Riazi k asulon mein Bala k ap mahir ho kahan par kya ghatana hai Kahan par kya kuch barhana hai Muhabbat be-niazi hai




Riazi k asulon mein
Bala k ap mahir ho
kahan par kya ghatana hai
Kahan par kya kuch barhana hai
kahan Aedad k zumre mein, 
kya taqseem karna hai
kahan tafreeq karna hai
kahan zarb lagani hai
tumhe ye khoob ata hai
magar ye jo muhabbat hai 
meri jaan, yahan ye fun nahi chalta
zarb, taqseem ya tafreeq 
chahat mein nahi hoti
ye do (2) k qaide pe sada abad rehti hai
or do k qaide mein 
teesre ko shirk kehte hain
jo do se ik nikal jaiy to
piche kuch nahi bachta
yahi hai qaida es ka
yahi es ki riazi hai
Muhabbat be-niazi hai


No comments:

Post a Comment