Saturday 19 December 2015

Jis nagar bhi jao, qissay hayn kambakht dil kay




Jis nagar bhi jao, 
qissay hayn kambakht dil kay

Koi le kay rou raha hai, 
koi dey kay rou raha hai



Friday 18 December 2015

tum na mano magar hqeeqat hai



tum na maano magar haqeeqat hai
ishq insan ki zarorat hai

kuch to dil mubtalaa-e-wahshat hai
kuch terii yaad bhii qayaamat hai



Thursday 17 December 2015

Na koi ehad nibhaey Na hum-nawaee kare




Na koi ehad nibhaey
Na hum-nawaee kare

Osey kaho kay.....
Tasalli se bewafai kare



firaq mein lazzatein hayn itni tou sochta hoon




Firaq mein, lazzatein hayn itni tou sochta hoon
Visaal Oska naseeb ho ga tou kya banay ga

Jo door reh kar hara-rate Jan bana hoa hai
Wo shakhs mere qareeb ho ga tou kya banay ga



Tuesday 15 December 2015

Shiddat-E-Gham Ko Tabasum Se Chupane Waly




Shiddat-E-Gham Ko 
Tabasum Se Chupane Waly,


Dil Ka Har Raaz To 
Aankhon Se Ayaan Hota Hai...!!!



Chup Chup Chal Rahy Thy Safar-E-Hyaat Mein




Chup Chup Chal Rahy Thy Safar-E-Hyaat Mein
Tum Par Nazar Parri To Gumrah Ho Gaey...!!!



ae gham-e-jana bohot dil geer hon main




ae gham-e-jana bohat dil geer hon main
ik adhore khwab ki ta'abeer hon main

kal talak pore thy khadd-o-khaal mere
aaj be-chehra si ik tasweer hon main

ab to haq mojon ko hai, mujh ko mita dain
rait par likhi hui tahreer hun main

hath mera thaam le ae kash koi
rasta bhooli hui raahgeer hun main

kis terha uthon qateel is dar se aakhir
aap apne paon ki zangeer hun main




Kisi Ne Dhool Kya Aankhon Me Jhonki







Kisi Ne Dhool Kya Aankhon Me Jhonki
K Main Ab Pehle Se Behtar Dekhta Hun...



Tum Samandar Ki Bat Karte ho



Tum Samandar Ki Bat Karte Ho
Log Ankhon Me Doob Jate Hain...



Aik woh wakt ke soney bhi na dete they mujhe wo




Aik woh wakt ke soney bhi na dete the mujhe wo
Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi




Hameyn ab yaad aata hai bohot masoom the hum bhi




ہمیں اب یاد آتا ہے بہت معصوم تھے ہم بھی

کہ ہم اک اجنبی کوعمر کی تاریک راہوں کا
 سہارا مان بیٹھے تھے
اُس کہ چاند چہرے کوہم اپنے بخت کا
 روشن ستارامان بیٹھے تھے

ہمیں معلوم ہی کب تھا؟
کہ دستِ زندگی میں سہارے چھوٹ جاتے ہیں
کبھی ایسا بھی ہوتا ہےنظر جن پر ٹہرتی ہے
وہ تارے ٹوٹ جاتے ہیں
بہت معصوم تھے ہم بھی۔۔



Wednesday 9 December 2015

meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye




Kabhi thak k so gaye hum 
kabhi raat bhar na soye

Kabhi hans k moonh chupaya 
kabhi moonh chupa k roye

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye

koi aesa ahl-e-dil ho k fasana-ae-muhabat
main osay suna k ro'on wo mujhe suna k roye

meri arzoo ki dunya, dil-e-natwan ki hasrat
jese kho k shadman thy, ose aaj pa k roye

teri bewafaon per, teri kaj adaon per...
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye

Shab-e-ghum ki ap-beeti jo suna'ie anjuman main
Kyie sun k muskuraye kyie muskura k roye

Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai jo galy laga k roye....

Mere pas se guzar kar mera haal tak na poochha
Main ye kese maan jaon k wo door ja k roye . . !




kaash main tere hasiin hath ka kangan hota




kash main tere hasiin hath ka kangan hota
tu bary pyar se, bary chao se, bary arman ke sath

apni nazuk si kalaii mein charhati mujh ko
aur betabii se furqat ke Khizaa’N lamho’n mein

tu kisi soch mein Dobii jo ghumatii mujh ko
main tere hath ki Khushbu se mahak sa jata

jab kabhii mood mein aa kar mujhe chomaa karti
tere honto’n ki hiddat se main dehak sa jaata

raat ko jab bhi tu neendo’n ke safar par jati
marmarii hath ka ik takiya banaya krti

main tere kaan se lag kar kaii baaten karta
teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta

jab bhi tu band qabaa kholne lagti janaa’N
apni aaNkho’n ko tere husn se kheraa karta

mujh ko betab sa rakhta teri chaahat ka nasha
main terii rooh ke gulshan mein mehkta rehta

main tere jism ke aangan mein khanaktaa rahta
kuch nahii’n to yahii benaam sa bandhan hota

kash main tere hasiin haath kaa kangan hotaa..



Poet: Wasi Shah