Tuesday 29 September 2015

Na Jany itni Muhabbat kahan se Aa Gai us k Liye




Na Jany itni Muhabbat kahan se Aa Gai us k Liye
K Mera Dil B us ki Khatir Mujh se Rooth Jata Hai




RiShta TujhSe JiSm Ka Hota Toh Ek Pal Mein Todd Deta Main




Rishta Tujh Se Jism Ka Hota 
To Ek Pal Mein Todd Deta Main,,

Tu To Meri SaanSon Mein 
TehLeeL Hai KhuShboo Ki Tarah..



musafir tou bicharte hain rafaqat kab badalti hai




Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai
Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai

Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein
Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai

Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai
Jo Pathar Pay Likhi Jaye,Ebarat Kab Badalti Hai

Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai
Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai



laakh mausam ki terha rung badalte raho




Lakh mosam ki terha rung badalte raho
Aj bhi toot k shi'dat se hamain chahte ho

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se Chup Chaap Guzer Jate Ho,



Ghuroor keun na ho mujhe khud par...




Ghuroor keun na ho mujhe khud par......!!!
Mujhe osne chaha hai jis k chahne wale hazar thy



Sunday 27 September 2015

tumhara naam leta hoon



تمہارا نام لیتا ہُوں فضائیں رقص کرتی ہیں
تمہاری یاد آتی ہے تو ارماں لڑکھڑاتے ہیں


Tmhara naam leta hoon fiza'eyn raqs karti hayn
tumhari yaad aati hai tou arman larr-khadate hayn



mere sabar ka na le imtehan




Mere sabar ka na le imtehaan ,
meri khamoshi ko Sada na de,

Jo Tere baghayr na Jee sakay
Osay jeene ki doa na dey....!



Khuda kare k Meri ulfat mein tum Yun ulajh jao...




Khuda kare k Meri ulfat mein tum Yun ulajh jao...!
K main tumhe dil mein bhi sochon tou tum samjh jao



Kitab-e-dil mein tera naam tehreer hai mu'dat se




Kitab-e-dil mein tera naam tehreer hai mu'dat se
Kese bataon tujh ko k tujhe chaha hai kis shi'dat se



Yeh kesi mohabbat hai ab tak na samjh paye




Yeh kesi mohabbat hai ab tak na samjh paye
Ghairon ko mana lena apno ko khafa rakhna




Wo mehrban hai tou Iqrar keun nhi karta




Wo mehrban hai tou Iqrar keun nhi karta
Wo badguman hai tou sau baar aazmaye mujhe



Tumhary wastey Hee Jee Rahy Hain




Tumhary wastey Hee Jee Rahy Hain...
Hamari Chahton Ka Maan Rakhna...



humain qarar milta he nahi bin tere




Humain Qarar Milta He Nahi Bin Tere,
Saj Sanwar Ke Bhi Udaas Baithe Hain



jaan jab pyari thi tab dushman hazar thy




Jaan Jab Pyari Thi Tab Dushman Hazaar Thy,
 Ab Marne Ka Shoq Hai Toh Qaatil Hi Nahi Milta



umar kat'ti hai un ki kanto pe



Umr kat-ti hai un ki kanton pe...!!!
Phool rakhte hayn jo kitabon mein



Wednesday 9 September 2015

Baat wafaon ki hoti to kabhi na haarte






Baat wafaon ki hoti to kabhi na haarte
Baat naseeb ki thi kuch kar na sakay




nigahayn bolti hayn be-tahasha




nigahein bolti hain be-tahasha
 mohabat paglon ki guftagu hai



itna to dosti ka sila dejiye mujhe




itna to dosti ka sila dejiye mujhe
 apna samjh k zehar pila dejiye mujhe

 uthe na ta-kay apki janib nazar koi
 jitni bhi tohmatein hayn laga dejiye mujhe

 kyun apki khushi ko mera gham kare udaas
 ik talkh haadsa hoon bhula dejiye mujhe

 main aap kay qareeb he hota hoon har ghari
moqa kabhi parre to sada dejiye mujhe

 har chiz dastiyab hai bazar mein Adam
 jhooti khushi khareed k laa dejiye mujhe



taman-nao mein uljhaya gaya hoon



taman-nao mein uljhaya gaya hoon
 khilone de kay behlaya gaya hoon



ik teri bara-bari k leye........




ik teri bara-bari k leye........!
 khud ko kitna giraa chukka hoon mein



chup ke chup ke raat din aansu bahana yaad hai




chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashqi ka who zamana yaad hai 

ba-hazaran iztirab o sad hazaran ishtiyaq
 tujh se wo pehle pehal dil ka lagana yaad hai

 bar bar uthna osi janib nigah-e-shoaq ka
 or tera ghurfe se wo ankheyn larrana yaad hai

 tujh se kuch milte he, wo be-baak ho jana mera
aor tera danton mein wo ungliyan dabana yaad hai

 kheench lena wo mera parde ka cona dafa-tan
aor dupa'te se tera wo m'un ko chupana yaad hai

 jab siva mere tumhara koi diwana na tha
Sach kaho tum ko bhi wo kar-khana yaad hai

 ghair ki nazro se bach kar sab ki marzi k khilaaf
wo tera chori chup-ke, raton ko aana yaad hai

 aa gaya gr wasal ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
wo tera ro ro kay mujh ko bhi rulana yaad hai

 chori chori hum se tum aa kar mile thy jis jagah
mu'datein guzri par ab tak wo thikana yaad hai



Yunhi be-sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo




Yunhi be-sabab na phira karo,
 koi sham ghar bhi raha karo

who ghazal ki sahi kitab hai,
ose chupke chupke parha karo

 Koi hath bhhi na milaye ga 
jo galay milo gay tapak se

Ye nayii mizaj ka shehar hai 
zara fasle se mila karo

abhi rah mein kayii morr hain 
koi aaye ga koi jaye ga

tumhe jis ne dil se bhula dia 
usay bhoolne ki dua karo

 mujhe ishtihaar si lagti hain 
ye mohabbaton ki kahaniyan

 jo kaha nhiin wo suna karo, 
jo suna nahiin wo kaha karo

 kabhi husn-e-parda nashiin bhi ho 
zara aashqana libass mein

 jo main ban-sanwar k kahiin chalo 
mere sath tum bhi chala karo

 nahiin be-hijab wo chand sa, 
k nazar ka koi a'sar na ho

use itni garmi-e-shoaq se 
bari dair tak na taka karo

 ye khizan ki zard si shall main, 
jo udaas pairr k paas hai

ye tumhare ghar ki bahaar hai, 
osey ansu'oon se hara karo



thokare khaa kay ik zamane tak aa gayii tere astane tak



thokare khaa kay ik zamane tak, 
aa gayii tere astane tak

umar sari qafas mein kati hai, 
aj pohnchi hoon ashyane tak



Monday 7 September 2015

jane kis ghum ko chupane ki tamanna hai ose




Jane Kis ghum ko chupane ki tama'na hai hai ose
Aj har baat pe hanste howe dekha osko

Jane wo maangne jata hai dowaon mein kise
Hath uthte he sis-sakte howe dekha osko




Aa gya he qabooliat ka mahina




Aa gya he qabooliat ka mahina
Mang kar dekhu ga tujhe khuda se



Koi aisa hou jo galay laga kar kahay




Koi aisa hou jo galay laga kar kahay...!
Tere dard se mujhe bhi takleef hoti hai


tasveer maine mangi thi shokhi tou dekhiye




Tasveer maine maangi thi shokhi tou dekhiye
Ik phool os nay bhej diya hai gulaab ka



Yun na meri jaan nigahayn churaya karo tum




Yun na meri jaan nigahayn churaya karo tum
Jou paas Aaon main, na door jaya karo the






gungunate howe anchal ki hawa de mujh ko




Gungunate howe anchal ki hawa de mujh ko
Ungliya pher kar baloan mein sula de mujh ko

Jis terha faltu guldan par're rehte hayn
Apne Ghar k kisi kone se laga de mujh ko

Main Tere hijr mein chup Chaap na Mar jaon
Main hoon sakte mein, aa kar rula de mujh ko



Ghulami tou Tere ishq ki karta hai warna...






Ghulami tou Tere ishq ki karta hai warna...!
Ye dil pehle bhi nawab tha or ab bhi nawab hai



tum tahaj-jud k waqt uth jana




Tum taha'jud k waq uth jana....!
Mil k ek dosre ko maangay gay..



Meri khawahish tou thi k mujhey tum he milte




Meri khawahish tou thi k mujhey tum he milte
Par meri khawahishon ko itni aoqaat kahan...




Na Jany itni Muhabbat kahan se Aa Gai us k Liye





Na Jany itni Muhabbat kahan se Aa Gai us k Liye
K Mera Dil B us ki Khatir Mujh se Rooth Jata Hai



rishta tujh se jism ka hota to




RiShta TujhSe JiSm Ka Hota Toh Ek Pal Mein Todd Deta Main,,
Tu Toh Meri SaanSon Mein TehLeeL Hai KhuShboo Ki Tarah..



musafir tou bicharte hain rafaqat kab badalti hai




Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai
Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai

Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein
Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai

Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai
Jo Pathar Pay Likhi Jaye,Ebarat Kab Badalti Hai

Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai
Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai



lakh mosam ki tarha rung badalte raho




Lakh mosam ki terha rung badalte raha
Aj bhi toot k shi'dat se hameyn chaste ho

Tum Mohabadaltei Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se Chup Chaap Guzer Jate Ho,



Ghuroor keun na ho mujhe khud par...




Ghuroor keun na ho mujhe khud par......!!!
Mujhe osne chaha hai jis k chahne wale hazar thy



Tumhara naam leta hoon, fiza'eyn raqs karti hayn




تمہارا نام لیتا ہُوں فضائیں رقص کرتی ہیں
تمہاری یاد آتی ہے تو ارماں لڑکھڑاتے ہیں

Tumhara naam leta hoon, fiza'eyn raqs karti hayn
Tmhari yaad aati hai tou armaan lad'khadate hayn



mere sabar ka na le imtehan




Mere sabar ka na lay imtehaan ,
meri khamoshi ko Sada na de,

Jo Tere baghayr na Jee sakay
Osay jeene ki doa na dey....!



Khuda kare k Meri ulfat mein tum Yun ulajh jao




Khuda kare k Meri ulfat mein 
tum Yun ulajh jao

K main tumhe dil mein bhi sochon 
to tum samjh jao



kitab e dil main tera naam tehreer hai mudat se




Kitab-e-dil mein tera naam tehreer hai mu'dat se
Kese bataon tujh ko k tujhe chaha hai kis shi'dat se



yeh kesi mohabbat hai ab tak samjh nhi paye




Yeh kesi mohabbat hai ab tak na samjh paye
Ghairon ko mana lena apno ko khafa rakhna



Wo mehrban hai to Iqrar keun nhi karta




Wo mehrban hai to Iqrar keun nhi karta
Wo badguman hai tou sau baar aazmaye mujhe



Tumhare wastey Hee Jee Rahy Hain...




Tumhare wastey Hee Jee Rahy Hain...
Hamari Chahton Ka Maan Rakhna...



hamain qarar milta he nhi bin tere




Humain Qarar Milta He Nahi Bin Tere,
Saj Sanwar Ke Bhi Udaas Baithe Hain.




jaan jab pyari thi tab dushman hazaar thy




Jaan Jab Pyari Thi 
Tab Dushman Hazaar Thy,

 Ab Marne Ka Shoq Hai 
Tohh Qaatil Hi Nahi Milta



umar kat'tee hai un ki kanto pe




Umr kat-ti hai un ki kanton pe...!!!
Phool rakhte hayn jo kitabon mein




Sunday 6 September 2015

ye jo meri jaan gai hai is mohabbat mein




Ye Jo Meri Jaan Gai Hai Is Mohabbat Mein,,
Ye Tera Sadqaa Diya Hai, Teri Nazar Utaari Hai



Bicharny Wale Yeh Ku Nahin Samajhte....




Bicharny Wale Yeh Ku Nahin Samajhte....
K Yadon Se Mohabbat Ka Guzara Nahin Hota



teri hayat ka har lamha shaadmaan guzre




Teri hayat ka har lamha shaadmaan guzre
Bahar sajda kare tu jahan jahan guzre

Khuda nasib kare tujh ko Zindagi ki khushi
Tu sar-khuroo ho Jab Koi imtehaan guzre 



Woh os andaz ki mujh se mohabbat chahta hai




 Woh os andaz ki mujh se mohabbat chahta hai
Mere har khwab par apni hukomat chahta hai

Woh kehta hai main oski zarorat ban chuka hoon
Toh Goya woh mujhe hasb-e-zaroorat chahta hai



Husn wale wafa nhi karte Ishq wale dagha nhi karte




Husn wale wafa nhi karte,
Ishq wale dagha nhi karte

Zulm karna tou inki aadat hai
Ye kisi ka bhala nhi karte




ye adaeyn ye ishare, ye nigaheyn tauba




Ye ada'eyn ye isharay, ye nigaheyn tauba
En adaon ko sar-e-aam lutaya na karo



wo baat baat mein itna badalta jata hai






Wo baat baat mein etna badalta jata hai
Jis terha koi lehja badalta jata hai

Ye arzoo thi k hum os k sath sath chaleyn
Mgar woh shakhs tou rasta badalta jata hai

Rutein visal ki ab khwab hone wali heyn
K oski baat ka lehja badalta jata hai

Raha jo dhoop mein sar par mere wohi aanchal
Hawa chali hai tou kitna badalta jata hai

Wo baat kare jise duna bhi mo-tabar samjhe
Tujhe khabar hai zamana badalta jata hai




eid ka din hai galay tou mil le zalim




Eid ka din hai, 
Galay To mil lay Zalim

Rasm-e-dunya bhi hai, 
Mauqa bhi hai, Dastoor bhi hai



tum mukhatib bhi ho, qareeb bhi ho







Tum mukhatib bhi ho, qareeb bhi ho
Tum ko dakheyn k tum se baat kareyn



humne os raat bhi tumhe hee maanga





Humne os raat bhi tumhe hee manga janaa
Jis raat log bakhshish ki doa mangte hayn




yaad aata hai roz o shab koi




Yaad aata hai Roz-O-Shabb koi
Rootha hai mujh se Be-sabab koi




mera seedha saadha mizaj tha




Mera Seedha Saadha Mizaj tha
Mujhe ishq Hone ki Kya Khabar

tere ik tabassum e Naaz Ne
Mere Saare Shouq Badal Diye



kar raha tha gham e jahan ka hisab




Kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
Aj  tum yaad be-hisab aaye.....




Mere qisse mein tum aate ho Mere hisse mein keun nhi aate





میرے قِصے میں تم آتے ہو
میرے حِصے میں کیوں نہیں آتے

Mere qisse mein tum aate ho
Mere hisse mein keun nhi aate




chahat mein kya dunya-dari




Chahat mein kya Dunya Darii
Ishq mein kesi Majboori.....!!!




kuch or mangna mere maslak mein kufr tehra hai




Kuch or maanga mere maslak mein kufr tehra hai
Ae Sanamm !! Laa apna hath dey mere hath mein



tujh se lafzo ka nhiin rooh ka rishta hai




Tujh se lafzo ka nhi, Rooh ka rishta hai Mera
Tu meri sanson mein tehleel hai khushbo ki terha




khoobsurat to pehle bhi tha wo shakhs




Khoobsurat to pehle b tha wo shakhs lekin
Humne chaha to ajab dhang se nikhra he wo



aahat si koi aae to lagta hai




Aahat si koi aae to lagta hai k tum ho..
Sayaa koi lahrae to lagta hai k tum ho..




Saturday 5 September 2015

maine sadiun guzarna hai tujhe




Maine sadeyon guzaarna hai tujhe
Tu mera Aakhri zamana hai



kahani mein koi radd o badl kar




Kahaani may koii radd-o-badl kar ..
Mera tujh se bicharna banta hi nahi..



rasm e ulfat hai k milte hayn




Rasm-e-ulfat hai k milte hain bicharne k liye ..
Aisa mat chaho k judai ki riwayat na rahay..



khinch leti hai mujhe teri mohabbat werna




Kheench leti hai mujhe teri muhabbat warna...
Main kae baar mila hun aakhri baar tujhe....



agar mujh se bicharne ka nahiin hai




agar mujh se bicharne ka 
nahin hai ghum osay Mohsin

to phir khamosh ratoon mein 
woh aksar jaagta keun hai 



sudh budh apni kho betha hoon





sudh budh apni kho betha hoon
janey kis ka ho betha hoon...



aj phir us ne mera haal pocha hai




Aaj phir us nay mera haal poocha hai,
Kitna mushkil swaal poocha hai,,

Hichkion ka ajeeb lehja tha,
Baat ko taal taal poocha hai,,

Tum Mujhe chor to na jao gay.
Mujh say Mera khayaal poocha hai,

Aansuon ki zubaan mein uss nay,
Jo bhi poocha kamaal poocha hai.



ishq pe ishq jo karne ki ijazat




عِشق پہ عِشق جو کرنے کی اِجازت ہوتی ۔۔۔

دْوسرا عِشق مِری "جاں" میں تْمہی سے کرتا ۔۔۔

Ishq pe ishq jo karne ki ijazat hoti ....
doosra ishq "meri jaan" main tumhi se karta




achi soorat ko sawarne ki zaroorat




achi soorat ko sawarne ki zroirat kya hai
sadgi mein bhi Qyamat ki ada hoti hai...




chal sath k hasrat dil-e-mehroom se nikle




chal sath k hasrat dil-e-mehroom se nikle
Ashiq ka janaza hai k zara dhoom se nikle




har tama'na dil se rukhsat




ہر تمنا دل سے رخصت ہو گئ  
  اب تو آجا اب تو خلوت ہو گئ

har taman'na dil se rukhsat ho gayii
ab to aaja, ab to khalwat ho gayii