chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashqi ka who zamana yaad hai 
ba-hazaran iztirab o sad hazaran ishtiyaq
 tujh se wo pehle pehal dil ka lagana yaad hai
 bar bar uthna osi janib nigah-e-shoaq ka
 or tera ghurfe se wo ankheyn larrana yaad hai
 tujh se kuch milte he, wo be-baak ho jana mera
aor tera danton mein wo ungliyan dabana yaad hai
 kheench lena wo mera parde ka cona dafa-tan
aor dupa'te se tera wo m'un ko chupana yaad hai
 jab siva mere tumhara koi diwana na tha
Sach kaho tum ko bhi wo kar-khana yaad hai
 ghair ki nazro se bach kar sab ki marzi k khilaaf
wo tera chori chup-ke, raton ko aana yaad hai
 aa gaya gr wasal ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
wo tera ro ro kay mujh ko bhi rulana yaad hai
 chori chori hum se tum aa kar mile thy jis jagah
mu'datein guzri par ab tak wo thikana yaad hai
No comments:
Post a Comment