Yunhi be-sabab na phira karo,
koi sham ghar bhi raha karo
who ghazal ki sahi kitab hai,
ose chupke chupke parha karo
Koi hath bhhi na milaye ga
jo galay milo gay tapak se
Ye nayii mizaj ka shehar hai
zara fasle se mila karo
abhi rah mein kayii morr hain
koi aaye ga koi jaye ga
tumhe jis ne dil se bhula dia
usay bhoolne ki dua karo
mujhe ishtihaar si lagti hain
ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nhiin wo suna karo,
jo suna nahiin wo kaha karo
kabhi husn-e-parda nashiin bhi ho
zara aashqana libass mein
jo main ban-sanwar k kahiin chalo
mere sath tum bhi chala karo
nahiin be-hijab wo chand sa,
k nazar ka koi a'sar na ho
use itni garmi-e-shoaq se
bari dair tak na taka karo
ye khizan ki zard si shall main,
jo udaas pairr k paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai,
osey ansu'oon se hara karo
No comments:
Post a Comment