Saturday 19 December 2015

Jis nagar bhi jao, qissay hayn kambakht dil kay




Jis nagar bhi jao, 
qissay hayn kambakht dil kay

Koi le kay rou raha hai, 
koi dey kay rou raha hai



Friday 18 December 2015

tum na mano magar hqeeqat hai



tum na maano magar haqeeqat hai
ishq insan ki zarorat hai

kuch to dil mubtalaa-e-wahshat hai
kuch terii yaad bhii qayaamat hai



Thursday 17 December 2015

Na koi ehad nibhaey Na hum-nawaee kare




Na koi ehad nibhaey
Na hum-nawaee kare

Osey kaho kay.....
Tasalli se bewafai kare



firaq mein lazzatein hayn itni tou sochta hoon




Firaq mein, lazzatein hayn itni tou sochta hoon
Visaal Oska naseeb ho ga tou kya banay ga

Jo door reh kar hara-rate Jan bana hoa hai
Wo shakhs mere qareeb ho ga tou kya banay ga



Tuesday 15 December 2015

Shiddat-E-Gham Ko Tabasum Se Chupane Waly




Shiddat-E-Gham Ko 
Tabasum Se Chupane Waly,


Dil Ka Har Raaz To 
Aankhon Se Ayaan Hota Hai...!!!



Chup Chup Chal Rahy Thy Safar-E-Hyaat Mein




Chup Chup Chal Rahy Thy Safar-E-Hyaat Mein
Tum Par Nazar Parri To Gumrah Ho Gaey...!!!



ae gham-e-jana bohot dil geer hon main




ae gham-e-jana bohat dil geer hon main
ik adhore khwab ki ta'abeer hon main

kal talak pore thy khadd-o-khaal mere
aaj be-chehra si ik tasweer hon main

ab to haq mojon ko hai, mujh ko mita dain
rait par likhi hui tahreer hun main

hath mera thaam le ae kash koi
rasta bhooli hui raahgeer hun main

kis terha uthon qateel is dar se aakhir
aap apne paon ki zangeer hun main




Kisi Ne Dhool Kya Aankhon Me Jhonki







Kisi Ne Dhool Kya Aankhon Me Jhonki
K Main Ab Pehle Se Behtar Dekhta Hun...



Tum Samandar Ki Bat Karte ho



Tum Samandar Ki Bat Karte Ho
Log Ankhon Me Doob Jate Hain...



Aik woh wakt ke soney bhi na dete they mujhe wo




Aik woh wakt ke soney bhi na dete the mujhe wo
Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi




Hameyn ab yaad aata hai bohot masoom the hum bhi




ہمیں اب یاد آتا ہے بہت معصوم تھے ہم بھی

کہ ہم اک اجنبی کوعمر کی تاریک راہوں کا
 سہارا مان بیٹھے تھے
اُس کہ چاند چہرے کوہم اپنے بخت کا
 روشن ستارامان بیٹھے تھے

ہمیں معلوم ہی کب تھا؟
کہ دستِ زندگی میں سہارے چھوٹ جاتے ہیں
کبھی ایسا بھی ہوتا ہےنظر جن پر ٹہرتی ہے
وہ تارے ٹوٹ جاتے ہیں
بہت معصوم تھے ہم بھی۔۔



Wednesday 9 December 2015

meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye




Kabhi thak k so gaye hum 
kabhi raat bhar na soye

Kabhi hans k moonh chupaya 
kabhi moonh chupa k roye

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye

koi aesa ahl-e-dil ho k fasana-ae-muhabat
main osay suna k ro'on wo mujhe suna k roye

meri arzoo ki dunya, dil-e-natwan ki hasrat
jese kho k shadman thy, ose aaj pa k roye

teri bewafaon per, teri kaj adaon per...
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye

Shab-e-ghum ki ap-beeti jo suna'ie anjuman main
Kyie sun k muskuraye kyie muskura k roye

Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai jo galy laga k roye....

Mere pas se guzar kar mera haal tak na poochha
Main ye kese maan jaon k wo door ja k roye . . !




kaash main tere hasiin hath ka kangan hota




kash main tere hasiin hath ka kangan hota
tu bary pyar se, bary chao se, bary arman ke sath

apni nazuk si kalaii mein charhati mujh ko
aur betabii se furqat ke Khizaa’N lamho’n mein

tu kisi soch mein Dobii jo ghumatii mujh ko
main tere hath ki Khushbu se mahak sa jata

jab kabhii mood mein aa kar mujhe chomaa karti
tere honto’n ki hiddat se main dehak sa jaata

raat ko jab bhi tu neendo’n ke safar par jati
marmarii hath ka ik takiya banaya krti

main tere kaan se lag kar kaii baaten karta
teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta

jab bhi tu band qabaa kholne lagti janaa’N
apni aaNkho’n ko tere husn se kheraa karta

mujh ko betab sa rakhta teri chaahat ka nasha
main terii rooh ke gulshan mein mehkta rehta

main tere jism ke aangan mein khanaktaa rahta
kuch nahii’n to yahii benaam sa bandhan hota

kash main tere hasiin haath kaa kangan hotaa..



Poet: Wasi Shah


Saturday 28 November 2015

lar na paon gee kay dunya bhar kay gham hayn



Lar na paow gee, 
k dunya bhar k gham hain samne

Zaid, sath mujh tanha ko ab, 
har dam sath tera chahiye



Mujhe bikhra hee rehne do mere muqadar ki terha




Mujhe bikhra hee rehne do mere muqadar ki terha
Main koi teri zulf to nhi k sanwar jaon ga




Choom leti hain latak kr



Choom leti hayn latak kar, 
kabhi chehra, kabhi lubb

Tumne zulfon ko bohot 
sar par charha rakha hai


dil-e-nadan tujhe howa kya hai




Dil-e-naadan tujhe hua kya hai ?
Aakhir is dard ki dawa kya hai

Hamko unse wafa ki hai umeed
Jo nahin jante wafa kya hai

Ham hain mushtaaq aur woh bezaar
Ya Elahee ! Yeh maajra kya hai ?

Jaan tum par nisaar karta hoon
Main nahin janta duaa kya hai



Tuesday 24 November 2015

Talab-e-Ishq mita di hum ne




Talab-e-Ishq mita Di hum ne
Osko roka, na sada Di hum ne

Khwab logon ne jala Dale thy
Rakh rahon mein udaa Di hum ne



Sunday 22 November 2015

sar e rah kuch bhi kaha nhi



Sar-e-raah khuchh bhi kaha nahin
kabhi uske ghar mein gaya nahin

Main janam janam se usi ka hun
 Ose aaj tak ye pata nahin

Ye khuda ki dayn ajeeb hai
k isi ka naam naseeb hai

Jise tune chaha wo mil gaya
jise maine chaha mila nahin



Itni mohabbat doon k ho jaye aakhir tu mera




Itni mohabbat doon k ho jaye aakhir tu mera
Phir zamane ko Tere leye tarapta dekhoon



Neenden meri Aankhon se churata hai wohi shakhs




Neenden meri Aankhon se 
churata hai wohi shakhs

So jaon to khwab mein bhi 
aata hai wohi shakhs



Mujhe zamanat do Sachi mohabbat ki




Mujhe zamanat do Sachi mohabbat ki
Suna hai log aadi bana kar chorr dete hain



Woh os andaz ki mujh se mohabbat chahta hai



Woh os andaz ki mujh se 
mohabbat chahta hai

Mere har khwabo par bhi 
apni hukomat chahta hai

Woh kehta hai main oski 
zaroorat bann chuka hoon

To Goya wo mujhe ab 
hasb-e-zaroorat chahta hai....!!!



Thursday 19 November 2015

Zuroorat-e-Zindagi, Hum Se Poochne Waalay




Zuroorat-e-Zindagi Hum Se Poochne Wale
Tujhe Kese Bataein K Tu Sab Se Zaroori Hai


Nikle thay es aas pe, kisi ko bana lenge apna




Nikle thay es aas pe, kisi ko bana lenge apna
Ek khuwahish ne umer bhar ka musafir bana diya.



Abhi to dil mein halki si khalish mehsoos hoti hai



Abhi to dil mein halki si 
khalish mehsoos hoti hai,

Bohat mumkin hai, 
kal is ka mohabbat naam ho jaye..



Wednesday 18 November 2015

Aankhain Band Kar K Chalte Hain Rah-e-Wafa




Aankhain Band Kar K 
Chalte Hain Rah-e-Wafa Main Log

Aur Kehte Phirte Hain K 
Mohabbat Andhi Hoti Hai..


Sochta hoon moat aany tak




Sochta hoon moat aany tak....
Zinda rehne mein kya qabahat hai..



Aakhri Neend Khoob Soe'yn Gy




Aakhri Neend Khoob Soe'yn Gy,,,
Dar Pe Dastak Ka Darr Nahi Ho Ga……!!



Tuesday 17 November 2015

Duniya Mein Itna Kuch To Hota Hai



Duniya Mein Itna Kuch To Hota Hai
Tum Bhi Mere Ho Jao Na…!!!



Door Reh Ker Bhi Jo Samaya Hai Meri Rooh Mein




Door Reh Ker Bhi Jo Samaya Hai 
Meri Rooh Mein

Pass Walon Per Woh Shakhs 
Kitna Asar Rakhta Ho Ga



Saturday 14 November 2015

Tu Badalta Hai To Be-Sakhta Meri Aankhen




Tu Badalta Hai To Be-Sakhta Meri Aankhen,
Apnay Hathon Ki Lakiron Mein Ulajh Jati Hain



mujhe mojzoan pe yaqeen nhi



Mujhe majzoan pe yaqeen nhi
Magar Aarzo hai jab qaza
Mujhe bazm-e-dahr se le chale
To phir ik bar ye izn de
Kay lehad se loat k Aa sakun
Tere dar pe Aa kay sada karun
Tujhe gum-gusarii ki ho talab
Tou tere hazoor main Aa rahun
Ye na ho tou so'e rah-e-adam mein
Phir aik bar rawana hoon



Ab phir puchte ho maqam apna




Ab phir puchte ho maqam apna
Keh jo diya " zindagi ho tum "



Tanha rehna tou moha'bat karne walo ki ik rasm-e-wafa hai



Tanha rehna tou moha'bat karne walo ki ik rasm-e-wafa hai
Agar phool khushi kay leye hote tou log janaze pe na dalte




Teri chahat to muqadar hai mile na mile




Teri chahat to muqadar hai mile na mile
Rahat zroor mil jati hai tujhe apna soch kar



Thursday 12 November 2015

meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye



Kabhi thak k so gaye hum 
kabhi raat bhar na soye

Kabhi hans k moonh chupaya 
kabhi moonh chupa k roye

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye

koi aesa ahl-e-dil ho k fasana-ae-muhabat
main ose suna k ro'on wo mujhe suna k roye

meri arzoo ki dunya, 
dil-e-natwan ki hasrat

jese kho k shadman thy, 
osay aaj pa k roye

teri bewafaon per, 
teri kaj adaon per...

kabhi ser jhuka k roye,
kabhi moun chupa k roye

Shab-e-ghum ki ap-beeti 
jo suna'ie anjuman main

Kai sun k muskuraye 
kai muskura k roye

Main hoon be-watan Musafir 
mera naam be-kasi hai

Mera koi b nahi hai 
jo galy laga k roye....

Mere pas se guzar kar 
mera haal tak na poochha

Main ye kese maan jaon 
k wo door ja k roye 






Niyat-e-shoaq bhar na ja'ay kahiin




Niyat-e-shoaq bhar na ja'ay Kahiin
Tu bhi dil se utar na ja'ay Kahiin

Aj dekha hai tujh ko dair k baad
Aj ka din guzar na ja'ay Kahiin

Na Mila kar udas logon se
Husn tera bikhar na ja'ay Kahiin

Aarzo hai k tu Yahan aaye
Or phr uMar bhar na ja'ay Kahiin

G jalata hoon or ye sochta hoon
Raigan ye hunar na ja'ay Kahiin

Ao kuch dair Ro he layn Nasir
Phir ye darya utar na ja'ay Kahiin



Wednesday 11 November 2015

Tuesday 10 November 2015

Gun-gunate raston ki dil-kashi Apni jaga




Gun-gunate raston ki dil-kashi Apni jaga
Or un sab k darmiyan Teri kami Apni jaga



Zikar Shab-e-Firaq se wehshat ose bhi thi



Zikar Shab-e-Firaq se Wehshat usy bhi thi
Meri Tarha kisi se muhabat usy bhi thi

Mujh ko bhi shok tha nay chehron ki deed ka
Rasta badal kar chalny ki aadat usy bhi thi

Us raat wo dair tak rha mehv-e-guftagu
Masroof main bhi kam tha faraghat usy bhi thi

Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zarorat usy bhi thi

Mujh se bichar kar shehar main gul mil gya wo sahks
Halan-ky sher bhar se Raqabat usy bhi thi

Wo mujh se barh kar dard ka aadi tha ji gya
Warna har ik sans qayamat Usy bhi thi



Sunday 8 November 2015

ye zabt choot gaya tou tmhari yaad aayi




Ye zabt choot gaya tou Tumhari yaad aayi
Main thak kay toot gaya tou tmhari yaad aayi

Tumharay baad na tha koi mera, dil k siwa
Ye dil bhi toot gaya tou tmhari yaad aayi



gham-zada hath chomty hen mera




gham-zada hath choomte hain mera
bhoolne ka hunar sikhata hon …… !



Zikar Shab-e-Firaq se wehshat ose bhi thi




Zikar Shab-e-Firaq se Wehshat usy bhi thi
Meri Tarha kisi se muhabat usy bhi thi

Mujh ko bhi shok tha nay chehron ki deed ka
Rasta badal kar chalny ki aadat usy bhi thi

Us raat wo dair tak rha wo mho guftagu
Masrof main bhi kam tha faraghat usy bhi thi

Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zarorat usy bhi thi

Mujh se bichar kar shehar main gul mil gya wo sahks
Halanky sher bhar se Raqabat usy bhi thi

Wo mujh se barh kar dard ka aadi tha ji gya
Warna har ik sans qayamat Usy bhi thi




Tu Apne Fun Se Meri Chaahat Ko Aazma K Dekh




Tu Apne Fun Se 
Meri Chahat Ko Azma K Dekh

Me Toot Gaya Hun 
Tu Phir Se Mujhe Bana K Dekh



misaal barg mein khud ko urana chahti hon




Misaal barg main khud ko urana chahti hon
Hawaiy tand pe maskan banana chahti hon

Wo jin ki aankhon me hota he zindagi me mlal
usi qabely se khud ko milana chahti hon

Jha k band hain sadiyon se mujh pe drwazy
Me ik bar usi ghar me jana chahti hon

sitam shar ki chokhat pe adal ki zanjeer
baray dad rasi ab hilana chahti hon

Najany kesy guzaron gi higar ki sa at
ghari ko tor k sab bhul jaana chahti hon

Musafton ko mily manzil talab neena
Wafa Ki rah main apna thikana chahti hon




Pathar Zehn Gulaab Nai Honday




Pathar Zehn Gulaab Nai Honday
Kory warq Kitaab Nai Honday

Jay Kar Layi Yaari Bulleya
Fer Yaraan Naal Hisaab Nai Honday...



Friday 6 November 2015

ishq qatil se bhi, Maqtool Se hamdardi bhi




Ishq Qaatil Se Bhi, Maqtool Se Hamdardi Bhi
Ye Bata Kis Se Muhabbat Ki Jaza Mange Ga?

Sajda Khaliq Ko Bhi, Eblees Se Yaarana Bhi
Hashar Main Kis Se Aqeedat Ka Sila Mange Ga



Bada maza ho kay mehshar mein hum kareyn shikwa




Bada maza ho kay mehshar mein 
hum karein shikwa

Wo minnaton se kahein, 
chup raho khuda kay leye



Thursday 5 November 2015

is shart pe khelon ge piya pyar ki bazi



Is Shart Pe Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi
Jeeton Tu Tuje Paon, Haron To Piya Teri

Main Sath Tera Kuch Aisa Dun Gee Jaan-e-Jaahan
Zinda Hon To Bhe Teri, Mar Jaon To Bhe Teri



manzil e gham ki fizaon se lipat kar ro loon




Manzil e gham ki fizaon se lipat kar ro loon
Tery daman ki hawaon se lipat kar ro loon

Jame may peny se pehly mera ji chahta he
Bikhri zulfon ki ghtaon se lipat kar ro loon

Ghunchon ki nigahon me nigahain dalon
Surkh pholon ki qabaon se lipat kar ro loon

Aany waly tery rasty me bichaon ankhain
Jany waly tery paon se lipat kar ro loon

Apny Majbor taqadus k shary Sagir
Der o kaba k khudaon se lipat kar ro loon




Wednesday 4 November 2015

ab k rut badli tou khushbu ka safar dekhe ga kon



Ab k rut badli to 
khushbo ka safar dekhy ga kon

Zakham phoolon ki tarha mehkain ge 
par dekhy ga kon

Dekhna sub raqs bismil mein 
magan ho jayn ge

Jis tarf teer aay ga 
udhar dekhy ga kon

Zakham jitny bhi thy 
sab Mansub qatil se hoy

Tere hathon k nishan 
ay chara gar dekhy ga kon



Tuesday 3 November 2015

samne aa kay nigaahoon ko churaata kiyoon hay




Saamnay aa key nigahoon ko churata kiyon hay
hay ager pyar osay bhi to chupata kiyon hay

chain din main hay ussay aur na raton ko sakoon
Itni qurbet hay to phir rooth kay jata kiyon hay

Yun to main bhool gaya hoon osay maazi kee tarah
dil ko her waqt mager yaad woh aata kiyoon hay

teri faryaad suni hay na sunay ga koi....
phir bhi tu hath dua'on ko uthata kiyon hay




Pyar kay deep Jalanay walay kuch kuch Pagal HOTAY hain, urdu poetry






Pyar k Deep Jalanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Apni Jaan se Janay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Hijar kay gehraay zakham milay
to mujh ko yeh Ehsas hoa
Pagal ko samjhanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

jaan se pyaray Logoon se bhi
kuch kuch parda laazim hay
Saari Baat Batanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Us kay ishq main bheeg kay
hum ko yeh ehsas hoa
Dil ki Baat main Aanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN