Zikar Shab-e-Firaq se Wehshat usy bhi thi
Meri Tarha kisi se muhabat usy bhi thi
Mujh ko bhi shok tha nay chehron ki deed ka
Rasta badal kar chalny ki aadat usy bhi thi
Us raat wo dair tak rha wo mho guftagu
Masrof main bhi kam tha faraghat usy bhi thi
Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zarorat usy bhi thi
Mujh se bichar kar shehar main gul mil gya wo sahks
Halanky sher bhar se Raqabat usy bhi thi
Wo mujh se barh kar dard ka aadi tha ji gya
Warna har ik sans qayamat Usy bhi thi
No comments:
Post a Comment