Kabhi thak k so gaye hum
kabhi raat bhar na soye
Kabhi hans k moonh chupaya
kabhi moonh chupa k roye
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye
koi aesa ahl-e-dil ho k fasana-ae-muhabat
main ose suna k ro'on wo mujhe suna k roye
meri arzoo ki dunya,
dil-e-natwan ki hasrat
jese kho k shadman thy,
osay aaj pa k roye
teri bewafaon per,
teri kaj adaon per...
kabhi ser jhuka k roye,
kabhi moun chupa k roye
Shab-e-ghum ki ap-beeti
jo suna'ie anjuman main
Kai sun k muskuraye
kai muskura k roye
Main hoon be-watan Musafir
mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai
jo galy laga k roye....
Mere pas se guzar kar
mera haal tak na poochha
Main ye kese maan jaon
k wo door ja k roye
No comments:
Post a Comment