Kash Main Tere Haseen Haath Ka 
Kangan Hota
Tu Bare Pyar Say 
Chaao Sey 
Bare Maan Ke Sath
Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say 
Furqat Ke Khizaan Lamhon Mein
Tu Kisi Soch Mein Dobi 
Jo Ghomati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Say 
Mehak sa Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar 
Mujhe Choma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say 
Main Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi 
Tu Neendon Ke Safar Par Jati
Mar-Mareen Hath Ka Takiya Banaya Karti
Main Tere Kan Say Lag Kar
 Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko 
Tere Gaal Ko Choma Karta
Jab bhi tu band-e-qaba 
kholne lagti janan
Apni ankhon ko 
tere husan se khaira karta
Mujh Ko Bey Taab Sa Rakhta
 Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Rooh Ke Gulshan Mein 
Mehakta Rehta
Main Tere Jism Ke Aangan Mein 
Khanakta rehta
Kuch Nahi To 
Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota
Kash Main Tere Haseen Haath Ka 
Kanghan Hota
No comments:
Post a Comment