Sunday, 6 May 2018

Suna hai log osay ankh bhar k dekhte hain




Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain

So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain


Suna hai rabt hai us ko kharab halon se

So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-naaz us ki

So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain


Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf

So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain


Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain

Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain


Suna hai raat use chand takta rehta hai

Sitaray baam-e-falak se utar kar dekhtay hain


Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain

Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain


Suna hai din ko usay titliyan satati hain

Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain


Suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki

Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain


Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai

So us ko surma-farosh aaahhh bhar ke dekhte hain


Suna hai us ke labon se gulab jalate hain

So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain


Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ka

Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain


Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main

Mizaj aur hi lal-o- gauhar ke dekhte hain


Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main

Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain


Suna hai us ke badan ke taraash aisi hai

Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain


Woh sarvqad hai magar be-gul-e muraad nahin

Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain


Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka

So rah-ravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhte hain


Suna hai us ke shabistan se mutasil hai bahisht

Makeen udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain


Rukay tu gardishain us ka tawaaf karti hain

Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain


Kisay naseeb ke be-pairahan usay dekhay

Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain


Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi

Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain


Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan

Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain...



No comments:

Post a Comment