aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya
dil ki bigdi hui tasvir pe rona aaya
ishq ki qaid mein ab tak to umidon pe jiye
miT gai aas to zanjir pe rona aaya
kya hasin khvab mohabbat ne dikhaya tha hamain
khul gai aankh tou tabir pe rona aaya
pahle qasid ki nazar dekh ke dil sahm gaya
phir teri surḳhi-e-tahrir pe rona aaya
dil ganva kar bhi mohabbat ke maze mil na sake
apni khoi hui taqdir pe Rona aaya
kitne masrur the jiine ki duaon pe 'shakil'
jab mile rañj to tasir pe rona aaya
No comments:
Post a Comment