akhiri waqt hai, akhiri saans hai
Zindagi ki hai shaam akhiri aḳhiri
sang-dil aa bhi ja ab Khuda ke liye
lab pe hai tera naam akhiri akhiri
kuchh to asan hoga adam ka safar
un se kahna tumhen DhunDhti hai nazar
nama-bar tu, Khudara na ab der kar
de de un ko payam akhiri akhiri
tauba karta hun kal se piyun ga nahin
mai-kashi ke sahare jiyun ga nahin
meri tauba se pahle magar saqiya
sirf de ek jaam akhiri akhiri
mujh ko yaron ne nahla ke kafns Diya
do ghaḌi bhi na biiti kay dafna diya
kaun karta hai Gham TuTte hi ye dam
kar diya intizam akhiri akhiri
Jeety ji qadr meri kisi ne na ki
zindagi bhi meri bevafa ho gai
duniya vaalo mubarak ye duniya tumhen
kar chale ham salam akhiri akhiri
No comments:
Post a Comment