data-ad-format="auto" data-full-width-responsive="true">

Sunday, 3 November 2019

Kabhi nazar mein bala ki shokhi Kabhi sarapa hijab Ankhein






Kabhi nazar mein bala ki shokhi
Kabhi sarapa hijab Ankhein

Kabhi chupati hai raaz dil k
Kabhi hai dil ki kitab ankhein

Kisi dekhi to jheel jesi
Kisi ne paain saraab ankhein

Hazaro in se qatal huwy
Khuda k bande sanbhaal ankhein







Kaha tha naw Ain se Ishq nahi hota Ab bhugto azab sare






Kaha tha naw Ain se Ishq nahi hota
Ab bhugto azab sare







Sab khokhli hain tumhari batein Na mujh pe lafzon k jaal phenko Dil har kisi pe jo aa raha hai To meri mano nikaal phenko









Sab khokhli hain tumhari batein
Na mujh pe lafzon k jaal phenko

Dil har kisi pe jo aa raha hai
To meri mano nikaal phenko







Saturday, 2 November 2019

Ab to ye alam hai k soorat he nazar aa jaiy Wo muhabbat bhi kare, ye main kab kehta hoon






Ab to ye alam hai k soorat he nazar aa jaiy
Wo muhabbat bhi kare, ye main kab kehta hoon







Kya khabar kon kahan tark-e-talluk kar lay ab akathy hain to tasveer bana li jaiy






Kya khabar kon kahan tark-e-talluk kar lay
ab akathy hain to tasveer bana li jaiy





Kala til naswari ankhein Hain mashkook tumhari ankhein






Kala til naswari ankhein
Hain mashkook tumhari ankhein






Main kisi sa'at khush faal mein tujh ko maangu Tu kisi lamha-e-ilhaam mein mujh par utre






Main kisi sa'at khush faal mein tujh ko maangu 
Tu kisi lamha-e-ilhaam mein mujh par utre





Utara jata tha sadqa hamari jaan ka bhi Hamare dam se bhi mansub chahatein thi boht








Utara jata tha sadqa hamari jaan ka bhi
Hamare dam se bhi mansub chahatein thi boht






Khulte nahin hain roz dareechy bahar k aati hai jaan mann pe qayamat kabhi kabhi





Khulte nahin hain roz dareechy bahar k
aati hai jaan mann pe qayamat kabhi kabhi





Aesi ankhon pe ghazal kehna boht mushkil hai Aesi ankhon pe to qurbaan jawani ho ge








Aesi ankhon pe ghazal kehna boht mushkil hai
Aesi ankhon pe to qurbaan jawani ho ge