Saturday, 20 June 2020

عشق ، محبت اور پیار کے موضوع پر خوبصورت اردو شاعری




Khiyal-e-yar mein 
neendon ka tasavur kaisa

~~~

Is dil main tu hi tu ho, koi dosra na ho
Hum raaz hum nasheen, koi tere siwaa na ho

~~~

Un k dewanu ko kuch gharz nahi shahi sy
Un k mutlashi to khud, waqt k sultaan nikle

~~~

Naseer hum main to apnoun c koi baat nahi
Karam hai un ka jo apna bnaye bethe hain

~~~

Kitni masjidoun ko chor kar hum us ki gali mei gye
Kam umri main hi mohabbat ny kafir bana dia


~~~

Teri beegi hui zulfoun k taqadus ki qasam
To jahan baal nachore wahein maikhana bane

~~~

Kafir e Ishq hue hum sana bhoul gaye
Ik sanam yaad raha yaad e khuda bhoul gaye

~~~

Hum sa b ho ga jahan main koi nadan jana
berukhi ko b samje jo tera ehsaan jana


~~~

Socha K Tujh Sy Dour Nikal Jayen Gy Kahein
Dekha To Har Muqam Teri Raah Guzar Main Tha

~~~

Tu intikhab e rang me masroof aur idher !!
Koi teray junoo'n mein siyah posh ho gaya

~~~



No comments:

Post a Comment