Saturday, 20 June 2020

عشق ، محبت اور پیار کے موضوع پر خوبصورت اردو شاعری




Her ik k naam pe nahi rukti.......!
Dharkanein ba'asool hoti hen

~~~

Yeh Fikar, Yeh Aadawatain Yeh Aandaz -e -Guftagu . . . . !
Sambhl JaO Tum , Tumhain Mohabat HO Rehi Ha


~~~

Mohabbat Aam Sa Aik Waaqia Tha
Hamare Saath Pesh Aanay Se Pehlay

~~~

poora chaand aur teri yaadein
Donu meri neend ki dushman

~~~

Tum Ne Kaha Tha K Hr Sham Tere Sath GuzarOun Ga
Tm Badl Chuky h0, Ya Tmhare Shehr ME Sham NAhi HOti?


~~~

Sanu bhul gai khudai channa saari
Ek tere nai khiyaal bhuldy

~~~

Sambhal ae dil raaz kisi ka yaar beparda na ho jaye
Ye deewanoun ki mehfil ha, koi ruswaa na ho jaye

Dikhaa doun ga tamasha zamane ko , main apni wehshat kaa
Magar hai baat itni c, yaar tu ruswaa na ho jaye

Wo shayad isi liye nahi jate, gore gharibaan par
Kahin thokar na lag jaye, koi zinda na ho jaye

Ameer sabri sambhal k jana koe jaana main
Mohabbat ek amaanat hai Aalam nashrah na ho jaye

~~~


Jind khari ae sochaan de more utte 
Rus gya a chain qarar mera

Ek paase ghar ae sajna da 
te Dosre paase parwardigaar mera

Kidhar jawaan kidhar naa jawan 
Oudar Rab te aidar dildar mera

Jis gali wich rab da ghar Sadiq 
us gali which wasda ae yaar mera

Kaire ghar jawan aiho bara minu chardaa
Ek ghar rab da te douja ghar yaar da

~~~

Ahwaal e ghum e ­zaat sunanay sy raha mai..
Ab khud ko tamasha bananaysy raha mai..


Har baar mai tazlil_e_anaa kar nhi sakta..
Har baar usay ja k manay sy raha mai..


Ehsaan ka mafhoom hai aankhain na milana..
Ehsaan ksi ka bhi uthanay sy raha mai..


Mumkin hy kisi roz ye aseer bana de..
Iss dil me lagi aag bujhanay sy raha mai..


Jo zakhm rafiqon k rawayyonsy lagay hain..
Wo zakhm ksi ko bhi dikhanay sy raha mai..


Jany do mujhy bazm_e_tarab me nhi roko..
Baar_e_gham_e_t anhai uthanay sy raha mai..


Darya hoon to darya hi usay paish karon ga..
Piyasay ko samandar to pilanay sy raha mai.


~~~

No comments:

Post a Comment