Sunday, 1 September 2019

2 Line urdu poetry collection






Kab tak kisi k sog mein roeyn gay beth kar
Hum khud ko kai baar, ye samjha kro paray

~~~

Tum Muhabbat uthaiy phirte ho
Hum Mohabbat luta k bethehain

~~~

Tum ne aik Omar mere dil pe Hukomat ki hai
Tum ko pal bhar mein bhulaya to nahi ja sakta

~~~

Hmara Intikhab acha nahi, Ae Dil phir tu he
Khyal-e-Yar se behtar koi mehmaan paida kar

~~~

Suno Ankho se Parh Lena wo sari unkahi batein
Koi puche to keh dena boht he raaz-dari hai

~~~

Zarf rakhte to jaan lete
Ab chup bhi aik shikayat hai

~~~

Ankhion mein sitare to kai shaam se utre
Par dil ki udasi na dar o baam se utre

Oron k qaseeday faqat wird the janaa
Jo tujh pe kahay shair wo Alhaam se utre

~~~

Tumhare Muamle mein hum
Boht kamzor Bande hain Meri Jaan

~~~

Dher batein hain, dher shikwe hain
Khud se karti hoon, khud se larti hoon

~~~

Taaziyat k wastay ao logo
Main khud mein kahin mar gaya hoon

~~~

Ishq to Naam he Ita'at ka hai
Phir chahy wo Insan se ho Ya Khuda se

~~~

Lakhon Phoolon mein se aik phool chuna tha
Jo kanto se bhi gehra zakham de gaya

~~~

Aqlan naal ishq nai honda
Aqal di ulti chaal ae Ishq

~~~

Es mein khatra hai doob jane ka
Jhankiye mat janab Ankhon mein

~~~

Najane aj ku mera zabt tuta
Tera Naam Lia or boht roey

~~~

To roz roya kare uth k chand raton mein
Khuda kare tera mere bghair dil na lagay

~~~

Kaha os ne kesi hai Aab-o-Hawa tere shahr ki
Kaha maine tere Khyal ka mosam raaj karta hai

~~~

Dono suratein yaqeen ki hain
Bas Andaz alag hota hai

Kuch Allah par sab chor dete hain
Kuch Allah k liye sab chor dete hain

~~~

Haiy wo deta hai Sadqa mera
Haiy Main os k sadqe

~~~

Meri Qamees par reh gaya jo kal shab
Main teri zulf k os baal k sadqe

~~~

Dil ki sari raggein chatakhti hain
Jab tujh se rabta nahi hota

~~~

Teri soorat se hai Aalam mein baharo ko sabaat
Teri Ankhon k siwa dunya mein rakha kya hai

~~~

Rung gandumi oska
Bhaari hai chand sitaron pe

~~~

Jab tum milo gay mujhe jannat k bagh mein
Main Izhar-e-Ishq mein tumhe Quran Sunaow ge

~~~







No comments:

Post a Comment