Thursday 31 August 2017

Osay kehna ye dunya hai yahan har mor pe aese boht se log milte hain jo andar tak utarte hain



Osay kehna ye dunya hai
yahan har mor pe
aese boht se log milte hain
jo andar tak utarte hain
abad tak sath rehte hain
akathe dard sehen ki
hamesha baat karte hain
osay kehna ye dunya hai
yahan har shakhs matlab ki
hadon tak sath chalta hai
junhi mosam badalta hai
muhabbat k sabhi wade
sabhi qasmein
sabhi rasmein
achanak tut jate hain
osay k kehna yahi dunya hai..

No comments:

Post a Comment