Tamam omar hui dard mein basar meri
Dhondti tujh ko rahi char su nazar meri
~~~
tum ay wada wafa karne os ghari zalim
dhal gai jab k tere hijr mein omr meri
~~~
omr thi jab muhabbat ki mjhe khud se juda rakha
kisi ne thik phr naam tera bewafa rakha hai
teri deed ki hasrat ne marne na dia sabir
k khud ko moat ki dehleez pe batha rkha hai
~~~
tu aya hai tere qadmo pe apni jaan rakh di hai
jawani jane wali ab to waps aa nhi sakti
~~~
shabab-e-omr jata hai khizan kehti hai aane ko
jawani ruthi jati hai kise manane ko
~~~
jhukaiy sar ko main sunta tha dil e bezar ki batein
main diwaro se karta tha tumhari batein
~~~
kahan the ap zamane k baad ay hain
mere shabab k jane k baad ay hain
~~~
meri omr sari guzr gai
Ba Khuda tumhare khyal mein
~~~
ay chaand loat aa
k yahan shaam ho chuki
~~~
ay hum safar main tujh se
shikayatein na karun ga
~~~
ab sath chorne ki
ada aam ho chuki hai
~~~
ab log le k ay hain suraj khuloos k
jb roshni chiragh ki nilaam ho chuki
tere siwa main nazar krun kis ko apne shair
meri hr ik ghazal to tere naam ho chuki
aa tu hi hum ko dhond le ay manzil-e-nishan
main to teri tilash mein nakaam ho chuki
~~~
dono k darmiyan ajab fasla rha
wo mere pas reh k bhi mujh se juda rha
teri judaii aesi mere dil ko lag gai
main apne aap se barso khafa raha
~~~
tu muskura k agarche kabhi mila bhi nhi
meri zuban pe lekin koi gila bhi nahi
main kese dil se nikalu teri muhabbat ko
ye dard wo hai k jis ki koi dawa bhi nhi
main teri yaad mein khoya hoa hn shaam-o-sahar
agarche tu mere bare mein sochta bhi nahi
har aik sans mein khusbu mehk rahi hai teri
main tujh ko bhool saku ga, ye sochna bhi nhi
mile baghair he tujh se bichar gya hoon main
saza bhi kaat rha hoon, koi khata bhi nahi
~~~
kahan the ap zamane k baad ay hain
mere shabab k jane k baad ay hain
wo jin k pyar mein sadian guzar di hum ne
har aik khwab jagane k baad ay hain
maza to tab tha k jeete jee milte
jahan se mujh ko uthane k baad ay hain
log dafna k chal diye kab k
wo abhi kandha lagane k liye ay hain
No comments:
Post a Comment