Os ki khushbu kahin nahi milti
Phool sare khareed kar dekhe hain
~~~
Tumhari dharkan se meri sans chalti hai
Dil nahi tum ho mere seene mein
~~~
Ay To yun jese hamesha the mehrban
Bhoole to yun k goya kabhi ashna na the
~~~
Kis se karein ab khushbu ka taqaza
Wo phool to ab murjha chuka hai
~~~
Har dam dhamal-e-Yaar hai sare wajud mein
Tu ne to ung ung ko ko ghungroo bana dia
~~~
Shayed tum aao maine isi intizar main
Ab k baras ki eid bhi tanha guzari
~~~
Pucha kisi ne kon si khushbu pasand hai
Maine tumhari sans ka qissa suna dia
~~~
Ghar mein hai aaj tak wahi khushbu basi hui
Lagta hai yun k jese wo aa kar nahi gaya
~~~
Wo jo kehta tha kuch nahi hota
Ab wo rota hai Chup nahi hota
~~~
Mann Mehkta hai kis ki khushbu se
Ye Phool sa mujh mein kon rehta hai
~~~
Tum aik takye mein apne geele baalon ki
Bhar k khushbu , jo aj bhejo to nind aa jaiy
~~~
Adhure wade karne wali
Roze pore rakhti ho ge
~~~
~~~
Zara sans lo qareeb aa kar
Zindagi ko mehsus karna hai
Zindagi ko mehsus karna hai
~~~
Sare wehm tere apne the
Hum kahan tujhe bhool paiyn gy
~~~
Ye is k qahqe tum sun rahay ho
Kisi sadme se pagal hai
Kisi sadme se pagal hai
~~~
Hatao hath ankho se
Ye tum Ho janta hoon main
Ye tum Ho janta hoon main
Tumhe khushbu se he nahi
Aahat se bhi pehchanta hoon main
~~~
No comments:
Post a Comment