Friday, 29 September 2017

Na kisi ki ankh ka noor hoon na kisi k dil ka qarar hoon jo kisi k kaam na aa sake main wo aik musht-e-ghubar hoon





Na kisi ki ankh ka noor hoon
na kisi k dil ka qarar hoon

jo kisi k kaam na aa sake
main wo aik musht-e-ghubar hoon

mera rung roop bigar gaya
merea yaar mujh se bichar gaya

jo chaman khizan se ujar gaya
main osi ki fasl-e-bahar hoon
dene fatiha koi ay ku
koi chaar phool charhaiy ku

koi aa k shamma jalaiy ku
main wo be-kasi ka mizar hoon

Main nahi hoon naghma-e-jan fiza
mujhe sun k koi kare ga kya

main bade he rog ki hoon sada
main badi dukhi pukar hoon



No comments:

Post a Comment