Dair hoi jab main chota sa larka tha
mujh ko rah main ek jogi ne roka tha
tere hath ki reekha, dekhna chahta hoon
jo mathe per dekha, dekhna chahta hoon
ghor se us ne dekha meri hatheli ko
jese koi boojhe kisi paheli ko
pehle to kuch dair mujhe woh takta raha
phir us ne aik aah bhari aur kehne laga
balak yeh jo tere hath ki reekha hai
main ne es main tera jeewan dekha hai
tera mann ek sundar nari tore gi
ek bhi sapna tere pas na chhore gi
ghoome ga to dware dware aas liye
mar jaiy ga nadi kinare pyas liye
logo main baithe ga tu ghabraiy ga
tanhai main tujh ko chain na aaiy ga
tujh per ek din aaisa waqt bhi aana hai
log kahain gay pagla hai deewana hai
morakh tera dosh nahi yeh honi hai
tu ne apni naiya aap daboni hai
dukh hi dukh tere hisse main aaya hai
balak yeh tu kya likhwa kar laya
Fantastic poetry
ReplyDeletelove this <3
thank you soo much, we really appreciate your visit
DeleteEs nazm k shayer ka naam kya hay ???
ReplyDelete