kash main tere hasiin hath ka kangan hota
tu bary pyar se, bary chao se, bary arman ke sath
apni nazuk si kalaii mein charhati mujh ko
aur betabii se furqat ke Khizaa’N lamho’n mein
tu kisi soch mein Dobii jo ghumatii mujh ko
main tere hath ki Khushbu se mahak sa jata
jab kabhii mood mein aa kar mujhe chomaa karti
tere honto’n ki hiddat se main dehak sa jaata
raat ko jab bhi tu neendo’n ke safar par jati
marmarii hath ka ik takiya banaya krti
main tere kaan se lag kar kaii baaten karta
teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta
jab bhi tu band qabaa kholne lagti janaa’N
apni aaNkho’n ko tere husn se kheraa karta
mujh ko betab sa rakhta teri chaahat ka nasha
main terii rooh ke gulshan mein mehkta rehta
main tere jism ke aangan mein khanaktaa rahta
kuch nahii’n to yahii benaam sa bandhan hota
kash main tere hasiin haath kaa kangan hotaa..
Poet: Wasi Shah