Friday, 29 July 2016

mujhe wo lakh tarpaye magar os shakhs




Mujhe wo laakh tarpaye magar
 os shakhs ki khatir
Mere dil kay andheron mein
Dua'en raqs karti hayn




Un k aane mein kabhi dayr jo hoti ho gee?

Un k aane mein kabhi dayr jo hoti ho gee?
Un k mamool k raste bhi tarapte hon gay!!!

Sunday, 17 July 2016

Laz-zatay Intizar leta Hoon




Laz-zatay Intizar Leta Hoon
Youn Shab-e-Ghum Guzar Leta hoon

Jab Bhi Dasti Hai mujh Ko Tanhai
Naam Tera Pukar Leta Hoon



Thursday, 14 July 2016

Ishq mein marziyan nhiin chalti




Ishq mein marziyan nhiin chalti,
Jis terha yaar kahay... BisMillah



Monday, 11 July 2016

Sulagti talkh baton se




Sulagti talkh baton se...
Baday be-dard hathon se ...

Lo dekho haar Di Tum ne ...
Mohabbat maar Di Tum ne!!!



Jab'r Hota nhii moha'bat mein




Jab'r Hota nhii moha'bat mein
Jab munasib ho, mere ho jana



Be-simt safar k marhalon mein



Be-simt safar k marhalon mein
Be-ant dukhon ka samna tha..



Sitaron se bhara ye Aasman kesa lagay ga?




Sitaron se bhara ye Aasman kesa lagay ga?
Hamare baad tum ko ye Jahan kesa lagay ga?



Dil ko nhiin sukoon meri jaan tere baghair




Dil ko nhiin sukoon meri jaan tere baghair
Aa ja parei-shan hai zindagi tere baghair



Saturday, 9 July 2016

talooh e subh tere rukh ki baat hone lagi




talooh e subh tere rukh ki baat hone lagi
tumhari zulf jo bikhri to raat hone lagi



Sunday, 3 July 2016

kisi tarang kisi sar-khushi mein rehta tha




Kisi tarang kisi sar-khushi mein rehta tha
Ye kal ki baat hai dil zindagi mein rehta tha

Bas ik shaam badi khamoshi se toot gaya
Hameyn jo maan teri dosti mein rehta tha



jab tera hukm mila, tark-e-mohabbat kar di




Jab tera hukam mila, tark-e-muhabat kar di
Dil magar es pe wo dharka k qayamat kar di

Tujh se kis tarha mein izhar-e-tamana karta
Lafz soojha to maani ne baghawat kar di

Mein to samjha tha k loat atay hain jaane wale
Tu ne to ja k judai meri qismat kar di

Mujh ko dushman k iradon pe bhi pyar ata hai
Teri ulfat ne muhabat meri adat kar di



Hum unki aas par, umrein guzar dete hayn



Hum unki aas par, umrein guzar dete hayn
Wo moajze jo kabhi ro-numa nhii hote



phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye




phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
phir patton ki pazaib baji tum yaad aaye

phir kaga bola ghar ke soonay aangan mein
phir amrat ras ki boond pari tum yaad aaye