Thursday, 25 February 2016

us kay nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nhi



Us k nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi

Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain
Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi

Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh
Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi

Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane
Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi


Thursday, 11 February 2016

Tum bhi saada ho kabhi chaal badalte hi nahin,




Tum bhi saada ho kabhi chaal badalte hi nahin,
Hum bhi saada hain ussi chaal main aa jate hain..




Apne honto’n ko see liya jaye




Apne honto’n ko see liya jaye
Gee mein aaya hai, gee liya jaye




Friday, 5 February 2016

Wednesday, 3 February 2016

tu is qadar mujhe apane qareeb lagataa hai



tu is qadar mujhe apane qareeb lagta hai
tujhe alag se jo sochooN ajeeb lagta hai

jise na husn se matalab na ishq se sarokaar
wo shaKhs mujh ko bahut bad_naseeb lagta hai

hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara
na koi Ghair na koi raqeeb lagta hai

ye dostii ye marasim ye chaahateN ye Khuloos
kabhii kabhii mujhe sab kuchh ajeeb lagta hai




Unglian pher mere balon mein, ye mera dar-e-sar nahi jata, urdu poetry




انگلیاں پھیر میرے بالوں میں
یہ میرا درد_سر نہیں جاتا


Ungliyan pher mere balon mein
Ye mera dard-e-sar nhi jata

Yun para hoon teri banho mein
Jese koi mar nahi jata



wo bulain to kya tamasha ho




Wo bulain to kya tamasha ho,
Hum na jayen to kya tamasha ho ,

Ye kinaron se khailnay walay
Doob jayen to kya tamasha ho,

Banda-parwar! Jo hum pe guzri hay,
Ham batayen to kya tamasha ho ,

Aaj hum bhi teri wafaon par,
Muskurayen to kya tamasha ho ,

Teri surat jo Ittefaq say hum,
Bhool jayen to kya tamasha ho,

Waqt ki chund sa'atein 'Saghir'
Laut ayen to kya tamasha ho...!!!!




Dhoondne wale tujhe apna pata kya doon main




Dhoondne wale tujhe apna pata kya doon main
Yahan tou jism talak aarzi thikane hayn....!